is qadar bhi ho tu dariyaadil kabhi
doobte ko haath de saahil kabhi
tu bahut chhoti hai insey umr mein
raaston ke pair choo manzil kabhi
mehfilon mein sab ishaare ho gaye
ab akela mein bhi mujhse mil kabhi
zulf apni baandh kar rakhti hai vo
qatl karti hi nahin qaatil kabhi
khaak hoon gar main to tu bhi khaak ho
phool hai gar tu to mujhmein khil kabhi
zindagi sabse mahangi cheez hai
bhar nahin paaya main iska bill kabhi
ek gham phir ek gham phir ek gham
tum nahin samjhoge ye mushkil kabhi
इस क़दर भी हो तू दरियादिल कभी
डूबते को हाथ दे साहिल कभी
तू बहुत छोटी है इनसे उम्र में
रास्तों के पैर छू मंज़िल कभी
महफ़िलों में सब इशारे हो गए
अब अकेले में भी मुझसे मिल कभी
ज़ुल्फ़ अपनी बाँध कर रखती है वो
क़त्ल करती ही नहीं क़ातिल कभी
ख़ाक हूँ ग़र मैं तो तू भी ख़ाक हो
फूल है ग़र तू तो मुझमें खिल कभी
ज़िन्दगी सबसे महँगी चीज़ है
भर नहीं पाया मैं इसका बिल कभी
एक ग़म फिर एक ग़म फिर एक ग़म
तुम नहीं समझोगे ये मुश्किल कभी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhas Nalwaya Darpan
our suggestion based on Abhas Nalwaya Darpan
As you were reading Manzil Shayari Shayari